Mm hmm hmm hmm, eh hey, la la la
Mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Meri beqaraari ko had se badhaana
Tumhe khoob aata hai baatein banaana
Nigaahein milaake yun mera chain lena
Sataake mohabbat mein yun dard dena
Mujhe dekhke aise palkein jhukaana
Sharaarat nahin hai to phir aur kya hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Tumhe neend aayegi ab na mere bin
Mujhe hai yakeen aisa aayega ek din
Khuli teri zulfon mein soya rahoonga
Tere hi khayaalon mein khoya rahoonga
Kabhi gaur se meri aankhon mein dekho
Meri jaan tumhaara hi chehraa chhupaa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Kaho na kaho mujhko sab kuch pataa hai
Haan, karoon kya mujhe tum bataati nahin ho
Chhupaati ho mujhse yeh tumhaari khataa hai
Aa mujhe raat din, bas mujhe chaahti ho
Mm, hmm hmm hmm, eh hey, la la la
This entry was posted
on Tuesday, September 25th, 2007 at 7:39 pm and is filed under Favourite songs.
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed.
Both comments and pings are currently closed.