Naya dard kisnay jaga diya
Bari pur sakoon thi yeh zindagi,naya dard kisnay jaga diya
kisi be-niyaz nay meri washatoon ko bara diya,
mere kam sukan ka yeh hukum tha,ke kalam is say main kam karoon
mere honth aise silay ke phir meri chup nay usay rola diya,
usay sher sunanay ka shuk tha,mujhe arz-e-haal ka zhuk tha
is hi zhuk-o-shuk may ek din,usay haal dil kasuna diya,
wo nigha kaisi nigha thi,yeh guraz kaisa guraz hai
mujhe dekh kar bhi na dekha,is ada nay haal suna diya,
kisi naam say kisi yaad say,mere dil ke bazam saji rahe
kabhi yeh charag jala diya, kabhi woo charag bhuja diya.
KHAILULLAH FAROOQUI