Jub teray shehar say guzarta houN
August 22nd, 2008Kiss tarah rokta houN ashkoN ko
Kiss taraf dil pay jabar karta houN
Aaj bhee kaarzaar-e-hustee maiN
Jub teray shehar say guzarta houN
Iss qadar bhee nahiN mujhe ma’aloom
Kiss mohallay maiN hay makaN tera
Kaun see shaakh-e-gull pay raqsaN hay
Rashk-e-firdaus, AasheeyaN tera
Jaane kin vaadeeoN maiN tehra hay
Gherat-e-husun, kaarvaaN tera
Kiss say poochouN ga maiN khabar teree
KaouN batla-ay ga nishaaN tera
Teree rusvaayoN say darta houN
Jub teray shehar say guzarta houN
Hall-e-dil bhee na keh saka gar-cheh
Too rahee mudatoN qareeb meray
Kuch teree azmatoN ka dar bhee tha
Kuch khialaat thay ajeeb mairay
Aakhir-e-kaar voh gaRhee Aa’yee
Baar-e-dar hoe ga’ay raqeeb maray
Too mujhe choR kar chalee bhee ga’yee
Kher! qismat mereey, naseeb meray
ab maiN kyoN tujh say pyar karta houN
Jub teray shehar say guzarta houN
Go zamana teree mohabat ka
Aik bhoolee houee kahanee hay
Teray koochay maiN umar bhar na ga’ay
Saaree dunya key khaak chaanee hay
Lazzat-e-qurb ho ke zakham-e-firaaq
Jo bhee hay teree meharbani hay
Kiss tamanna say tujh ko chaaha thaa
Kiss mohabat say haar mani hay
Apnee qismat pa naaz karta houN
Jub teray shehar say guzarta houN
Aaj bhi karzar-e-hasti meiN
aik bar tuu jo mil ja’ay
kisi mehfil meiN samna ho ja’ay
ya sar-e-rah ghuzar mil ja’ay
aik nazar dekh lay mohabbat say
aik lamhay ka piar mil ja’ay
chain aa ja’ay aarzo’oN ko
hasratoN ko qarar mil ja’ay
janay kia kia khayal karta hooN
Aaj meiN uus maqam per hooN jahaN
rasan-o-dar ki bulandi hay
meray asha’ar ki latafat meiN
teray kirdar ki bulandi hay
teri majboorioN ki shiddat hay
apnay eesar ki bulandi hay
sub teray dard ki inayat hay
sub teray piar ki bulandi hay
apni qismat pay naz karta hooN
lakin ay sakin-e-hareem-e-khayal
yad hay tujhko wo sanam kay nahiN
kabhi teray dil pay ghuzra hay
meri majboorioN ka ghum kay nahiN
meri barbadioN ka zikar suun kar
Aankh teri hui hay num kay nahiN
aur iss karzar-e-hasti meiN
mil sakeiN gay phir hum kay nahiN
dartay dartay sawal karta hooN
jab teray shehar say ghuzarta hooN




