End of Game….

Faraz Ahmed July 4, 2011 0

Jaana tumharay lehratay ghanay baal… tumhari neem baaz ankhen jinke teergi me mai kho sa jata tha…. jin ankhon me mujhe apna aap dikhta tha…..jin ankhon me kabhi maine apnay lye bay panah pyar dekha tha… jin ankhon ke raanaiyan mujhe dunya o mafia se mahav rakhte then … jin ankhon k khuwab kabhi meri zindagi thay jaana…..

jana tumhary gulabi hont , tumhary wo bareek gulabi hont jinko choomnay ke justuju to shayad meri zindagi ke aarzoo thi… jin honton k khayalon me mai ghantoo khoya rehta tha…. un honton se nikaltay alfaz me mai ulhaj sa jata tha…

tumhary chehray ke wo raanaye… tumhary chehray ke wo chamak aik muskurahat…. tumhari har ek ada tumhari har aik baat jaana…

jaana tumhara wo marmareen gudaaz badan…. tumhari makhmali baanhen jinke mujhe aarzo baykal rakhte thi mujhe aik door se bandh k rakhte thi…. sab kuch tumhary us anchal se bandha tha…. sab kuch….

jaana wo chahat wo arzo wo justuju har din es umeed se shuru tha…. k tumhe pana ahi tumhe apnana hai…….. ye zameen ye aasman ye sari khudai mujhe tumse alag nahi kar sakay ge…

jaana hame milna hai es tarha … mil jaye do lehren jis tarha … phir kabhi hon na juda .. k musdaq hame aik hona hai…. bas yahi aarzo bas yahi justuju bas yahi zindagi ka mehvar… tum mil jao to bas……….. agar khuda meri ye arrzoo puri kar day to mery pass mangnay ko kuch nahi…..

meri zindagi ke har aik dua ho tum meri mer tamana ho tum…

jaana en honton ko chonay ke …… en ankhon ko apnay honton se choom lenay ke…. es marmareen se gudaz badan ko apni banhon me bhar lenay ke aur phir tum pe toot k baras janay ke arzoo mujhe har lamha baykal rakhte thi… mujhe pagal rakhte thi….

jaana tumhara sath jab milta … kabhi ghari do ghari k lye dil bahut tezi se dhadakta tha… jism me jaisy bijliyan se koond jate thien …. bas apna aap sanbhalna tumse door rehna tumse fasla rakhta mushkil sa ho jata tha….

jaana us Rab ne hamari har dua sun le…

ham mil gaye ham aik ho gaye jaana… hane jo chaha tha jo manga tha hame wo sab mil gaya…. jaana ……

Tumhary milnay se .. jaisy mujhe zindagi mil gaye….. tumhary anay se jaisy zindagi me bahar a gaye…………. har wo chez jo mangi thi wo aaj meri ho gaye… mery husn ka taaj mahal aaj mera hai………. wo marmareen gudaaz badan… wo neem baaz ankhen….. wo makhmali se banhen aaj meri zeest ka hissa hue han

aaj maine tumhe haasil kar liya hai……… aaj wo suroor wo nasha aaj mukamal hua hai……….

magar jaana…
tum to meri talab then………. aur mohabat me talab nahi hote….
mohabat jism ka nasha nahi………… mohabat jism ke talab se kia lena dena….

mujhe to talab thi jana…….. un banhon ke , un honton ke us badan ke… us jism ke……..
jaana jisko mai mohabat samjha wo to shayad mohabbat thi hi nahi….
wo to jawanni ka aik pagalpan tha…. wo to shayad sirf talab thi
jaana wo talab puri hue…….. aur tum to jante ho……… jab talab puri ho to dil bhar jata hai………..

jaana……… meri zindagi aik yaksaniyat ka shikar hai……… jaana mujhe ab tumhara jism bahut pheeka lagta hai……. un ankhon ke chamak bhi mujhe inspire nahi karti hai……
jaana……… i dont want you anymore…

Game is over……
jaana…. you may leave now from my life for forever…

Incoming search terms:

Related Posts:

Leave A Response »