post icon

Tumhara Khayal

Wo aksar mujhse kehte ha aap bahut busy rehtay han.. 2 jobs aur phir ap kay pas itna kaam hota hai kya ab ap mujhe bhool gaye han? kya ab apko meri yaad bilkul bhi nahi aati? kya ab ap mujhe pehlay ke tarha sochtay bhi nahi han?kya apko mujhse ke hue baaten kabhi bhi yaad nahi aaten? . ap ne aur hamne jo waqt sath guzara uske yaaden ab kya bilkul bhi nahi satate han? kya ab mai apke zindagi me bhi nahi hon aur phir wo rohansi ho jate hai

Mai muskra ke us se kehta hon.. haan bena mujhe bhi yahi lagta hai mai bhi ab tumhe bhoolnay laga hon . mujhe bhi ab tum yaad nahi rehte ho waqai mai bahut masroof hon. mujhe tumhara khayal bhi nahi ata. Aaj kal en jobs k chakar me itna masroof hon k mujhe apna hi hosh nahi to tumhari yaad kahan se aye ge

Pagli. jante ho aaj bhi tumhari ankhon ko soch kar aik bhanwar me doob sa jata hon. aaj bhi un kaali gehri ankhon me doob nay k baad sari dunya ko apnay aap se bahut door pata hon.. jante ho .. tumhari yaad hi to meri zindagi me aik khushgawar ehsas hai..

Meri zindagi hai hi tumhari baaton aur tumhari yaadon ka mehvar pata to hai tumhe tumse kehta tha na aksar..

Aisay hansti thi wo aisay chalte thi.

Chand k jaisay chupti aur nikalti thi.

Sab se teri baaten tery baad karengay

Tujhe yaad karen gay

aur ye jo misra hai na . aisay chalte thi wo aisay hansti thi bas yahan se agay hi kab nikal saka hon mai. har dam har pal tumhari muskurahat, tumhara chehra meri ankhon me samaya rehta hai tumhari baaten aaj bhi mery kaanon me gunjti rehte han.. aaj bhi aik aik baat jo tumse ke hai wo mery dil me mehfooz hai.

Yeh sach hai k dunya ke zindagi me bahut masroof ho gaya hon. magar ye masroofiyat tumhe meri zindagi se juda nahi kar sakte. tum dil me tum rooh me sama chuke ho

Tum mujh me basti ho tum mera hi hissa ho tumhe mujhse juda karna aisa hi hai jaisay mujhse meri zindagi cheen lena.. Aray pagli jis tarha samandar ke do lehro ko juda nahi kia ja sakta, jis tarha suraaj se roshni ko.. jis tarha dil se dhadhkan ko juda nahi kia ja sakta na.. us hi tarha tumhe, tumhari baaton ko tumhari yaadon ko mujhse juda karna na mumkin hai.

Meri zindagi ka haasil hi kiya hai juzz tery es zindagi me bas tumhe hi to paya hai meri zindagi me tumhary na honay ka tasauvr hi meri zindagi ko kisi siyah raat ke manind bana deta hai

thinking Tumhara Khayal

 

Related Posts:

No comments yet.

Leave a comment